Thursday 7 May 2009

ಮೈ ಹಾರ್ಟ್ ಬೀಟ್



1st
Dile nadaa,,n huva kya hai
Aakhir is dard ki duva kya hai
Hum hain mushtaaq aur vo bezaar
Yaa ilaahi ye maajrakyaa hai
Main bhi mu,n may zubaan raktha hu,n
kaash pucho ki maajra kya hai
2nd
Jab ke tuj bin nahin koi maujud
phir ye hangaama ai khudaa kya hai.,
Ye pari cheharaa log kaise hai,n
Gamazaa-o-ishva-o-ada kya hai
Sabazaa-o-gul khaa,n se aaye hai,n
Abr kua chiiz hai havaa kyaa hai
Humko unse vafa kii hai ummeed
Jo nahi,n jaante vafa kya hai
Haa,n bhala kar tere bhala hogaa
Aur dervesh ki sadaa kyaa hai
Jaan tum par nisaar kartaa huu,n
Mai,n nahii,n jaantaa duaa kyaa hai
Mai,n ne maanaki ki kuch nahi,n 'Ghalib'
Muft haath aaye to bura kya hai.,.,.
(Mirza Ghalib)

No comments:

Post a Comment