Friday 8 May 2009

Gharur

Jis sar ko gharur hai aaj yahaan taajwaari ka,
Kal us pe yehin shor hai noha gari ka.

Aafaaq ki manzil se gaya kaun salaamat,
Asbaab luta raah mein yahaan har safri ka.

Zindaa mein bhi shorish na gayi apne janun ki,
Ab sang madaawa hai is ashufta sari ka.

Is rang se jhamke hai palak par ke kahe tu,
Tukra hai mera ashk aqiq-e-jigari ka.

Le saans bhi aahista ke naazuk hai bahut kaam,
Aafaaq ki is kaargah-e-shisha gari ka.

Tuk Mir-e-jigar sokta ki jalad khabar le,
kya yaar bharosa hai chirag-e-sahri ka.
(Mir Taqi Mir)

No comments:

Post a Comment